Friday, January 25, 2019

Small message for Republic day..


Ab hum sab taiyaar hai 


Teen rang ka vo tiranga aaj chaaro aur
 dikhega
Dikhegha deshbhakti bhaichara,
samman bharat ka dikhega 

Fir dub jayegi suraj k sath apni deshbakhti
Mit jaayegi hamaari palko par saji
 vo teen rang
Andhere me gumnaam ho jayegi vo sahadat


Bahre ho jaayenge kaan kisi ki awaaj sunne k liye 
Kat jaayenge haath kisi sachhai se ladne 
k liye
Band ho jayega vo muh apne haq me bolne 
k liye
Thak jaayenge pair kisi ke sath chalne
 k liye 


Utaar daalo apne chehre se us nakaab ko 
Jis nakaab k piche apne hi desh se gaddari karte ho
Kuchal daalo apne dono haath ko
Jis haath se asli  hero par pathhar baaji 
krte ho
Vyarth h vo aankhe jisse sabkuch dekh kr v 
Andekha krte ho 

Jise bas apni beti beti samajh aati ho
Jise bas apni behen behen Nazar aati ho
Jise bas apna pariwar pariwar nazar aata ho

Vo na deshbhakt h aur na hi use yaha rehne ka adhirkaar h.. 
Use yaha to kya.. Prithvi ki kisi v gollardh me v rakhna pap h


Kya seva krna bas us naujawan ka kaam h
Aur paise apne tijori me daalna bas hamara kaam h.. 

Kisaan ki sabji sahi daamo me nai biki to anudaan chahiye 
Lekin fir v logo ko sabji me kam daam chahiye 
Himmat h to dono ko tu hi khus kr k dikha 

Jo asambhav h uske liye hm mar rhe h
Jo sambhav h usko bina soche apno se lad rhe h.. 

Deshbhakti kya h jara khud dil se pucho 
Kahi kisi kitaab se achha apne aap se pucho

Tum khud itna bol sakte ho is par 
Ki khud ki kitaab likh sakte ho is par.

Mujhe batane ki jarurat nai 
Aap sab ek purn sansaar h 
Josh laa kr bas itna keh do
Ab hm sab taiyaar h ...


With a new josh... Happy Republic day.. 


No comments:

Post a Comment

गाँव ही मेरा शहर लगता है।

    (गाँव ही मेरा शहर लगता है।) ○○○○○○ मुझे क्यूं सफेद कागजों में भी कोई खबर लगता है  बड़े इमारतों का शुक्रिया गाँव ही मे...