Insaaniyat
Raat kaali thi kaala tha manzar
Kaala tha din aur kaala bawandar
Bujh gye diye par fir v roshan kar gya vo
Marte marte anant karz de gya vo
Kon chukayega karz aur chukayega kaise
Kaali dharm ki aandhi hai saamne
Kaali rajneeti ki roti hai saamne
Kaun suljhayega paheli ko suljhayega kaise
""Hindu muslim sikh ishayi
Aapas me hum bhai bhai""
Padh padh bita tha bachpan hamara
Bachpan khoya koi baat nai
Padhi baate bhul gya desh hamara
Maa ro rahi h pita abhi sambhla bhi nahi h
Vo crore mombattiyan abhi pighli v nahi h
Jai hind bol aaya vo saheed ka beta
Paalti maar dhang se baitha bhi nai h
Ki apne rang dikha diye humne
Jimmedari jab khud ki aayi
To hath jawano ko thama diye humne
kosis kr rha tha samjhane ki
Dharm dharm mt kar
Bhul gya tu vo 200 saal angrejo ka atyachaar
Ab to hindu muslim mt kar
Kaha usne ki tujhe akal nahi, apne hi dharm k khilaf ho
Jisne pala jisne sikhaya sab kuch, usi imaan k khilaaf ho
ye baar baar mere dil ko cheer gya
Kya main galat hu mera dil mujhse bol gya
Dekhne k liye do aankho ki jarurat h
Najariya k liye ek aankh ki jarurat h
Mujhe garv h khud par ki chah kar v
Meri dono aankh nahi khulti
Aur mujhe abhimaan hai is dil ki
Jo lakh baar kahne par v ye dharm me nai ghulti
Holi diwali eid christmas guru govind singh jayanti..
Bas ek chhota sa sawal h.. Puchta hu
Ye sab jo manaye vo dharm khojta hu.
Yaad karo un veero ko
Vo bediya aur janjiro ko
Ab to soch badal lo yaaro
Kitne maare gye desh k pyaro
Kuch to alag kar kuch to naya hal nikaal
Kaleje ko faad aur insaaniyat bahar nikaal
No comments:
Post a Comment