Thursday, November 7, 2019

Aaj ka kalam


Aaj Ka Kalam 
Aaj ka kalam bas itna hi likhega 
kar rhe hai aaj aage ab kaisa chalega 

Ram Ram hai chillate aur kaam hi nahi hai 
Hindu Muslim ke siva juba par nam hi nahi hai 

Khair vo to hai kaali andhi ki sarkar
Vyapaar kar rhi hai par tu to nahi lachhar

Aachaar aur sanhita ki tum baat bhule baithe ho 
Mar rahe jawan tum ayodhya par jhule baithe ho


Virodh me kuch kehna aur likhna hi nahi hai
Aajadi chhin gayi aur saale hath malte baithe ho 

Ameeri garibi me ab fas rhe log
Jinki galti hi nahi hai vo rhe bhog

Sanjog hai aisa ki saare jhuthe hi bhare hai
Kaale paiso ki line me sabse aage vo khade hai 

Nikaal rhe murdo ko jo saalo se gade hai
Bhrastachaar ki ladayi me vo jid par ade hai

Barbaadi me desh ki hamara bhi hath rahega 
Pehle pani ab hawa, prakriti kitna aur sahega 

Ram jo banna hai to pehle kaam se bano
kam nahi to bhakti aur samman se bano

Denge gaali tumhe tumhare hi sare vans
Kahenge dharti hai krishn aur hm unke kans
-your ashish

गाँव ही मेरा शहर लगता है।

    (गाँव ही मेरा शहर लगता है।) ○○○○○○ मुझे क्यूं सफेद कागजों में भी कोई खबर लगता है  बड़े इमारतों का शुक्रिया गाँव ही मे...